FATIHA KA SABOOT

 🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




🥀 *FATEHA KA SABOOT*🥀




🎇HAZRATE ANAS RADIALLAHU ANHA Se Riwayat hai ki , unke WALIDA Hazrat UMME SALIM RADIALLAHU TA'ALA ANHU Ne Khazur, Ghee aur Paneer milakar Malida' banaya aur Seni me Rakhkar HUZUR Nabi-E-Karim ﷺ Ki khidmate ba-barkat me bheja to Aap ﷺ NE use samne Rakhne ka hukm farmaya aur HAZRATE ANAS RADIALLAHU ANHA ko logo ko bulane ke liye bheja Jab HAZRATE ANAS RadiAllahu Anhu Wapis aye to Ghar admiyo se bhar gya tha, jisme takriban 300 admi the.


🌠HAZRATE ANAS RADIALLAHU ANHA ka bayaan hai ki HUZUR NABI-E-KARIM ﷺ ne apna DASTE MUBARAK us Malida par rakha aur jo kuch KHUDA ne chaha uspar Aap ﷺ Ne 'PADHA' aur phir 10-10 Admiyo ko Aap ﷺ bulane lage ki aap isme se khaye aur sab admiyo ne khaya,


🎆Fir HAZRATE ANAS RADIALLAHU ANHA kehte hai ki, Phir HUZUR ﷺ ne mujhe yani Hzrate Anas RadiAllahu Anha ko Uthane ka hukm diya to jab maine usme se kuch hissa uthaya to wo bilkul kam nahi hua tha. Yani 300 Admiyo me Seerni Takshim karne ke bawjood bhi seerni me koi kami na aayi thi !


📚Refe: MISHKAT SHAREEF, BAAB FILL MOUZIZAT: PAGE: 538/2)


📚Refe: BUKHARI SHAREEF: JILD: 2) 


📚KITABUN- NIKAH, BAABUL HADAAYA LILL URUS: PAGE: 775.


📚MUSLIM SHARIF: JILD: 1, BAAB ZIWAAJE JAINAB BINTE JAHAS: PAGE: 461)


🔷SABAK:>NABI-E-KARIM ﷺ Ne Roti Aur Kuch Khajuren Samne Rakh Kar Kuch Padha, Zaahir Baat Hai Ki ALLAH TAALA Ki Hamd-O-Sana Padha Hoga Aur Hum Ahl E Sunnat Wal Jamaat Wale Bhi To Khana Samne Rakhkar ALLAH TAALA Ka Qalaam Padhte HAI 




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑

*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03