Esaal E Sawaab Sunnat Hai 22 Last Post

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 22 (LAST)

1⃣4⃣ Agar koi in dalael k jaanne k bawajood ESAAL E SAWAAB k liye makhsoos khaane ko haram aur ESAAL E SAWAAB karne waaley ko BID’ATI qaraar deta hai to sharayi lehaaz se iske liye kya hokum hai…???

🌴 JAWAAB:
☘ Yaqeenan jo shaks is khaane ko jasper ALLAH TA’ALA ka paak kalaam padha gaya haram aur sunnat per amal paera hone waaley ko gunahgaar o bid’ati qaraar de wo khud bid’ati o gunahgaar hai aur usey roz e qayamat ALLAH TA’ALA ki baargah mein iskey baarey mein jawaab dah hona padhega.

🍃 Aese hazraat ko thande dil se sochna chahiye k jab ALLAH TA’ALA aur uska RASOOL ﷺ kisi kaam se mana na farmaye to ye kaon hote hain mana karne waaley…???

🍁 KAASH AESE HAZRAAT NICHE DI GAYI AAYAAT PER GHAOR KARNE KI ZEHMAT GAWARA KARLETE.

🎋 ALLAH TA’ALA QURAN E PAAK MEIN IRSHAD FARMATA HAI…

🎍 يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تُحَرِّمُوا طَيِّبَاتِ مَا أَحَلَّ اللَّهُ لَكُمْ وَلَا تَعْتَدُوا ۚ إِنَّ اللَّهَ لَا يُحِبُّ الْمُعْتَدِينَ
📖 Tarjuma:
🌾 Aye Imaan Waalon! Haraam na thaerao wo suthri cheezey k ALLAH TA’ALA ne tumhare liye halaal ki, aur hadd se na badho, beshak hadd se badhne waaley ALLAH ko na pasand hain
📗 (Sureh Al Maidah, Aayat 87)

🎍 قُلْ أَرَأَيْتُم مَّا أَنزَلَ اللَّهُ لَكُم مِّن رِّزْقٍ فَجَعَلْتُم مِّنْهُ حَرَامًا وَحَلَالًا قُلْ آللَّهُ أَذِنَ لَكُمْ ۖ أَمْ عَلَى اللَّهِ تَفْتَرُونَ
📖 Tarjuma:
🌾 Tum farmao bhala batao to wo jo ALLAH ne tumhare liye rizq utaara isme tumne apni taraf se haraam o halaal thaeraya, tum farmao k kya ALLAH ne tumhe uski ijazat di ya ALLAH per jhoot baandhte ho
📗 (Sureh Younus, Aayat 59)



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03