Esaal E Sawaab Sunnat Hai 20

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 20

1⃣2⃣ Lekin in dino ek maqaam per jama hokar hi ibadaat kyun ikhtiyaar ki jaati hain…. Kya akele akele, apne apne maqaam per ESAAL E SAWAAB sawaab mumkin nahi…???

🌴 JAWAAB:

🎍 Ijtemayi taor per ibadat amuman nafs per giraan nahi guzarti, wahi log jo aam halaat mein ibadaat ki taraf maayel nahi hote, sirf ijtemaiyat ki barkat se ibadat mein mashghool ho jaate hain, agar wo aesi mahafil (mehfil ki jama) mein shareek na hote to shayad ye waqt bhi kisi gunaah mein sarf kar rahe hote.

🎍 Ijtemayi taor per zikr o ibadat, ALLAH TA’ALA ki baargaah mein maqbool hone ka zariya saabit hoti hai jaesa k ijtemayi zikr ki fazeelat mein hai k

🍃 HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه riwayat farmate hain k RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya k koi aesi jamaat nahi jo ALLAH TA’ALA k zikr k liye baethe magar unhey farishte gheyr lete hain, REHMAT dhaanp leti hai, unper sakeena utarta hai aur apne paas waaley farishton mein ALLAH TA’ALA unka zikr karta hai.
📗 (Mishkat Al Masabeeh, Baab Zikrullah)



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03