Esaal E Sawaab Sunnat Hai 18

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 18

🔟 Pehle kaha gaya hai k ESAAL E SAWAAB k liye min jaanib e shariat koi khaas waqt muqarrar nahi, to phir aaj kal teja, chaaliswaan o gyaarwi o baarhwi o kunde k naam se ESAAL E SAWAAB k liye din kyun makhsoos karliye gaye hain…???

🌴 JAWAAB:
☘ Jawaab se pehle yaad rakhiye k tayeen (yaani waqt waghaera muqarrar karna) 2 tarah hoti hai wo 2 kya hai niche padhiye

🎍 SHARAYI
🍂 Tayeen e Sharayi ka matlab hai k kisi ibadat waghaera k liye shariat ki jaanib se waqt muqarrar kiya jaana.

🎍 ARFI
🍂 Tayeen e Arfi (عرفى) se muraad ye hai k shariat ki jaanib se to waqt muqarrar na ho lekin log apni aur degar musalmaano ki sahulat ki khaatir neyk amaal o af’aal k liye koi waqt makhsoos karley.

🍂 Jaese namazon ki jamaat k liye masajid mein waqt makhsoos hota hai take log ba asaani khayaal rakh kar shareek e jamaat ho sakey, halaanke shariat ki jaanib se rozaana theek usi waqt namaz e ba jamaat ada karne ka koi mutaleba nahi.

🍁 Ab sawaal ka jawaab ye k mazkoora ESAAL E SAWAAB ki surton k liye waqt ki tayeen sharayi nahi balke arfi hai.



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03