Esaal E Sawaab Sunnat Hai 17

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 17

9⃣ Kya ESAAL E SAWAAB k liye koi khaas waqt muqarrar hai ya kisi bhi waqt kiya jaa sakta hai…???

🌴 JAWAAB:
🍀 Sharayi lehaaz se uske liye koi khaas waqt muqarrar nahi, haan is silsiley mein 2 baatein qaabil e tawajja hain.

🍂 Mayyat k duniya se chale jaane k baad 3 din tak sadqa karna mustahab hai.

🎋 IMAM TAA’OOS رضي الله عنه farmate hain k murde apni quboor mein 7 roz tak aazmayish mein rehte hain, isliye SAHABA E KIRAAM رضي الله عنهم 7 roz tak murdon ki taraf se khaana khilaaya karte the.
📗 (AL HAAWI LIL FATAWA, JILD 2, PAGE 178)

🌻 IMAM TAA’OOS EK JALEEL UL QADAR TABAYI GUZRE HAIN

🎋 SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDID E DEHELWI رحمة الله عليه farmate hain k “mayyat k duniya se jaane k baad 7 din tak uski taraf se sadqa karna mustahab hai.
📗 (ASH’ATH UL AMAAT)

🍀 7 dinon k baad har shab e jumua k din, aashoora (yaani 10 muharram) k din aur SHAB E BARAAT mein ESAAL E SAWAAB bahot behtar hai.

🎋 AALA HAZRAT رحمة الله عليه tehreer farmate hain k SHAIKH UL ISLAAM “KASHAF UL GHUTA AMALZAM LIL MOTI ALAL AH’YAA (yaani us cheez se parde ka hanta jo zindon per murdon k liye laazim hai) ki aathwi fasal mein farmate hain

🍃 Gharaeb aur khazana mein manqool hai k momineen ki rooh ghamnaak buland awaaz se nida karti hai k aye mere ghar waalon, aye meri aolaad, aye mere rishtedaar, sadqa karke hum per meherbani karo.
📗 (FATAWA RAZWIYA, JILD 9)



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03