Esaal E Sawaab Sunnat Hai 16

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 16

🎋 JANNAT MEIN MEHEL

♓AZRAT MAALIK BIN DEENAAR رحمة الله عليه irshad farmate hain k “ek martaba JUMMATUL MUBARAK ki raat qabristaan gaya to wahaan ek chamakdaar noor dekha, pas maine kaha k لا اله الا الله mujhe lagta hai k ALLAH TA’ALA ne qabristaan waalon ki maghfirat farmadi hai.

🅰chanak maine door se ek ghaebi awaaz suni k, aye maalik ye momineen ki taraf se apne qabristaan waaley bhaiyo k liye tohfa hai, maine kaha us zaat e paak ki qasam jisne tujhe goya kiya (yaani bolne per qudrat ata farmayi) tu mujhe khabar de k wo kya hai…???

🍃 Usne jawaab diya k usi JUMA ki raat ko momineen me se ek shaks ne achi tarah wazu karke 2 rakaat namaz ada ki, har rakaat k baad SUREH KAFIROON aur SUREH IKHLAAS padhi, phir yun arz guzaar hua

🍃 Aye ALLAH AZZAWAJAL main in 2 rakaaton ka sawaab is qabristaan k tamaam musalmaan murdon ki khidmat mein pesh karta hoon, pas is ESAAL E SAWAAB ki barkat se ALLAH TA’ALA ne hamari qabron mein noor, roshni, khushi, aur mashriq se maghrib tak kashaadgi ata farmayi.

🎋 IMAM MALIK رحمة الله عليه farmate hain k uske baad bhi har juma ki raat ko wo 2 rakaatey padhna shuru hogaya, hata k ek martaba maine khwaab mein RASOOL ALLAH ﷺ ki ziyarat ki.

🎋 AAP ﷺ ne irshad farmaya, AYE MAALIK jitney noor tune meri ummat ko pesh kiye hain unki tedaad k barabar ALLAH TA’ALA ne teri bakhshish farmadi hai aur tujhe iska sawaab milega aur ALLAH TA’ALA ne tere liye JANNAT mein ek mehel bhi tamer farmaya hai.
📗 (SHARAH US SUDOOD)



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03