Esaal E Sawaab Sunnat Hai 14

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 14

7⃣ ESAAL E SAWAAB ka durust o munasib tareeqa kya hai…???

🌴 JAWAAB:
🍃 Iska munasib tareen tareeqa jaanne k liye AALA HAZRAT IMAM AHMED RAZA KHAN عليه الرحمة se kiya gaya ek sawaal aur aapki taraf se jawaab padhiye…

🍁 SAWAAL:
🍂 Kya farmate hain ULLAMA E DEEN is masle mein qabristaan mein ek shaks SUREH FATEHA, SUREH KAFIROON, SUREH IKHLAAS, SUREH FALAQ, or SUREH NAAS waghaera padhkar haath uthaakar dua karta hai k YA ALLAH AZZAWAJAL in aayaat ka sawaab ROOH E MUQADDAS HUZOOR PUR NOOR NABI KAREEM ﷺ aur SAHABA o TABAYEEN o AOLIYA E KIRAAM o HAZRAT ADAM عليه السلام se is waqt tak jo musalmaan marey hain aur jo yahaan madfoon hain, sabki rooh ko pahonche ya pahonchade, iski islaah farmayi jaaye.

🌴 JAWAAB:
🍃 Isme itna izafa karna munasib hai k “jitney musalman mard o aorta ab maojood hain aur jitne qayamat tak aane waaley hain, un sabki arwaah (rooh) ko pahoncha de, to us shaks ko tamaam momineen aoleen o akhireen sabki ginti k barabar sawaab milega.
📗 (Fatawa Razwiya, Jild 9)



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03