Esaal E Sawaab Sunnat Hai 12

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 12

5⃣ FARZ o WAJIB o NAFIL o MUSTAHAB mein se kiska sawaab pahonchaya jaa sakta hai, neyz ek shaks maslan zeyd ne apni neki 10 murdon ko ESAAL ki to kya sabko woe k ek milegi ya woe k neki hi 10 tukde karke taqseem ki jaayegi…???

🌴 JAWAAB:
🍃 ESAAL E SAWAAB k liye nafil namaz, roza, sadqa o khaeraat hi zaruri nahi balke har farz o waajib o sunnat o mustahab ka sawaab pahonchaya jaa sakta hai, neyz ESAAL shuda neki taqseem nahi ki jaayegi balke hare k ko puri puri ek milegi isper bataor sanad FIQH E HANAFI ki mustanad o muatabar kitaab RAD UL MUKHTAR mein darj shuda masla padhiye.

🌾 MASLA:
🍂 NAMAZ, ROZA, HAJJ, ZAKAAT aur har qism ki ibadat aur har neyk amal farz o nafil ka sawaab murdon ko pahonchaya jaa sakta hai, aur un sabko pahonchega aur bhejne waale k sawaab mein kuch kami na hogi, balke ALLAH TA’ALA ki rahmat se umeed hai k sab murdon ko pura pura hissa milega ye nahi k sawaab taqseem hokar tukda tukda miley.
📗 (Radd ul Mukhtar)



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03