Esaal E Sawaab Sunnat Hai 11

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 11

🎋 GHAMZADA NAOJAWAAN

♓AZRAT SAALEH رضي الله عنه farmate hain k main ek martaba shab e Jumua ko jamia masjid ki taraf jaa raha tha k subah ki namaz wahaan padhoon, chonke subah hone mein abhi deyr thi chunaanche main raaste mein ek qabristaan mein daakhil hokar baeth gaya, baethte hi meri aankh lag gayi, maine dekha k sab qabre phat gayi hain aur unse murde baahar nikal kar aapas mein hansi khushi baatey kar rahe hain.

🍃 Itne mein ek naojawaan bhi qabar se baahar nikla, uske kapde maele the, wo ghamgeen haalat mein ek jaanib baeth gaya, thodi deyr mein asmaan se bahot se farishte utrey, jinke haathon mein thaal the, jinper noorani rumaal dhake huye the, wo har murde ko thaal dete jaate the aur jo murda thaal leta wo apni qabar mein waapas chala jaata.

🍃 Jab sab thaaley le chukey to wo naojawaan khaali haath qabar mein waapas jaane laga, maine us naojawaan se daryaaft kiya k tumhare ghamgeen hone ki kya waja hai aur ye thaal kaese the?

🍂 Usne jawaab diya k ye thaal un hadiyon (hadiya ki jama bones nahi) k the jo zinda logon ne apne apne murdon ko ESAAL E SAWAAB kiya, mera ek maa k alawa aur koi nahi jo hadiya bheje aur khud maa bhi duniya mein phans kar reh gayi hai, usne dusri shaadi karke apni masrufiyath badhaali hai, ab wo mujhe kabhi yaad nahi karti.

🍂 Maine uski ma aka pata karke malum kiya aur dusre din jaakar usey parde mein bulakar tamaam maamla bayaan kiya, us aorta ne kaha k beshak wo mera beta tha, mera lakht e jigar tha, phir usne mujhe 10,000 dirham diye aur kaha k ye mere bête ki taraf se sadqa kardena aur main aayinda usey DUA O ESAAL E SAWAAB k zariye yaad rakhungi.

🍃 Maine hisb e hidayat wo raqam naojawaan ki taraf se sadqa kardi, kuch arse baad maine khwaab mein us majmua ko usi tarah dekha, ab ki martaba wo naojawaan bhi achi se poshaak pehne huye bahot khush tha, wo tezi se meri jaanib aaya aur kehne laga k, aye saaleh ALLAH TA’ALA aapko jaza e khaer ata farmaaye, aapka hadiya mujh tak pahonch gaya.
📔 (RAOD UL RIYAHEEN)



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03