Esaal E Sawaab Sunnat Hai 09

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 09

🎋 FASAADI KI MAGHFIRAT

🍂 HAZRAT ABDULLAH BIN SAALEH رضي الله عنه farmate hain k maine ABU NAWAAS ko uske marne k baad khwaab mein dekha k wo badi nematon mein hai, maine usse kaha k ALLAH TA’ALA ne tere saath kya maamla kiya???

🍂 Usne jawaab diya k ALLAH TA’ALA ne meri bakhshish farmaane k saath saath ye nematey bhi ata farmayi hai.

🍂 Maine daryaaft kiya k “teri maghfirat ka sabab kya cheez bani halaanke tu to fasaadi tha…???

🍂 Usne kaha k dar’asal ek neyk shaks raat ko qabristaan mein aaya aur apni chaadar bichakar usper 2 rakaat namaz padhi aur un dono rakaaton mein 2000 martaba SUREH IKHLAAS yaani قل هوالله احد padhkar uska sawaab tamaam qabristaan waalon ko bakhsh diya.

🍂 Chunaanche uski barkat se ALLAH TA’ALA ne tamaam qabristaan waalon ki maghfirat farmadi aur chonke main bhi unme shaamil tha lehaaza mujhe bakhsh diya.
📔 (Sharah Us Sudoor)



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03