Esaal E Sawaab Sunnat Hai 07

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 07

🍁 JO AHADEES AAPNE PEHLE PADH CHUKI HAI (10 AHADEES) UNSE KUCH NUKKAAT YAANI K POINTS HAASIL HUYE HAIN MULAHEZA KIJIYE…

1⃣ Esaal e sawaab jayez aur PYAARE AQA ﷺ aur SAHABA E KIRAAM رضي الله عنهم ki sunnat e mubaraka hai, jaesa k taqriban tamaam ahadees se saabit hua.

2⃣ PYAARE AQA ﷺ aur SAHABA E KIRAAM رضي الله عنهم ne ESAAL E SAWAAB k liye targheeb o wasiyat farmayi. (jaesa k hades 2, 9 aur 10 se saabit hua)

3⃣ ESAAL E SAWAAB jis tarah duniya se parda kiye huye musalmano k liye kiya jaa sakta hai isi tarah maojuda aur aayinda aane waalon k liye bhi jayez o mumkin hai, (jaesa k hades number 1 se saabit hua).

4⃣ ESAAL E SAWAAB sirf musalmano ko kar sakte hain, kuffar k liye jayez nahi aur bil farz koi karey bhi to unhey use koi faeda nahi pahonch sakta.

5⃣ ESAAL E SAWAAB ki barkat se marhumeen k gunahon ko mita diya jaata hai, (jaesa k hades number 4 se saabit hai).

6⃣ ESAAL E SAWAAB murdon k liye nijaat ka sabab ho sakta hai, (hades number 6 se saabit hua).



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03