Esaal E Sawaab Sunnat Hai 06

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 06

7⃣ HAZRAT ABDULLAH BIN OMER رضي الله عنه se marwi hai k SARKAAR E MADINA ﷺ ne irshad farmaya, jab tum me se koi shaks kuch nafil khaeraat karey to chahiye k usey maa baap ki taraf se karey, kyu k uska sawaab dono ko milega aur us shaks k sawaab mein kuch bhi kam na kiya jaayega.
📔 (Tabrani)

8⃣ HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما se riwayat hai k ek aorta ne haazir hokar AAP ﷺ se arz ki, YA RASOOL ALLAH ﷺ meri waalida aachanak wafaat paa gayi hain, agar aesa na hota to wo zaroor sadqa o khaeraat karti, Agar main unki taraf se khaeraat karu to kya inhey sawaab milega?

🌼 HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne irshad farmaya haan milega, pas us aorta ne apni waalida ki taraf se sadqa o khaeraat ki.
📔 (Abu Dawood)

9⃣ HAZRAT HANSH رضي الله عنه se marwi hai k HAZRAT ALI رضي الله عنه 2 mendhon ki qurbani kiya karte the, ek RASOOL ALLAH ﷺ ki taraf se aur ek apni taraf se, aap se iske mutaalliq pucha gaya to farmaya k, mujhe RASOOL ALLAH ﷺ ne is baat ka hokum farmaya hai, pas main usey kabhi na chodunga.
📔 (Tirmizi, Baab Fi Al Zahiya Bikbasheen)

🔟 HAZRAT IBNE ABBAS رضي الله عنه farmate hain k RASOOL ALLAH ﷺ murdon ko unke azeez o aqarib aur bhaiyon ki taraf se dua, sadqa aur ibaadaat k liye targheeb farmate rehte the aur farmate the k ye tamaam cheezey murdon ko nafa deti hain.
📔 (Kashaf Ul Ghama Lil Imam Abdul Wahab Al Sha’araani, Jild 1, 174)

⚠ InSha ALLAH IN AHADEES E MUBARAKA PER KUCH POINTS AGLE PART MEIN MULAHEZA KIJIYE...



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03