Esaal E Sawaab Sunnat Hai 05

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 05

3⃣ HAZRAT IBNE ABBAS رضي الله عنهما farmate hain k ek shaks ne haazir e khidmat hokar arz ki, YA RASOOL ALLAH ﷺ meri waalida faot hogayi hain aur agar main unki taraf se kuch khaeraat karu to unhey faeda pahonchega…???

🌺 AAP ﷺ ne farmaya haan, us shaks ne arz ki k mera ek baagh hai, main aap logon ko gawaah banakar kehta hoon k maine usey apni maa ki taraf se RAAH E KHUDA mein de diya.
📔 (Abu Dawood)

4⃣ HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه bayaan karte hain k ek shaks ne RASOOL ALLAH ﷺ se arz ki, YA RASOOL ALLAH ﷺ mere waalid faot hogaye hain aur unhone maal choda hai lekin koi wasiyat nahi ki, agar main unki taraf se sadqa karu to unke gunahon ka kaffara ada hojayega???

🌼 AAP ﷺ ne irshad farmaya, haan.
📔 (Muslim)

5⃣ HAZRAT SAAD BIN UBAADA رضي الله عنه farmate hain k maine REHMAT E AALAM ﷺ se daryaaft kiya k meri waalida faot hogayi hain, kya main unki taraf se kuch khaeraat karu???

🌺 AAP ﷺ ne irshad farmaya, haan karo, maine arz ki kaonsa sadqa afzal hai…??? AAP ﷺ ne irshad farmaya paani pilaana.
📔 (Nisayi)

6⃣ HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه se riwayat hai k ek shaks ne HUZOOR NABI KAREEM ﷺ se kuch wasiyat ki k, mere waalid faot hogaye hain aur kuch maal bhi choda hai, lekin kuch wasiyat karke nahi gaye, agar main unki taraf se kuch sadqa karu to ye sadqa unke liye kaffara aur nijaat ka sabab ban sakta hai ya nahi…???

🌼 RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya haan ban sakta hai.
📔 (Nisayi)



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03