Esaal E Sawaab Sunnat Hai 04

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ESAAL E SAWAAB SUNNAT HAI 🥀*



🅿ART 04

🎋 AHADEES E MUBARAKA SE DALAEL

1⃣ HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهنما bayaan farmati hain k RASOOL ALLAH ﷺ ne ek singon waala mendha lane ka hokum diya, jiske haath, paer aur aankhen siyaah ho, so qurbani k liye aesa mendha laaya gaya

🌼 AAP ﷺ ne farmaya AYE AYESHA! Churi lao, phir farmaya isey pathar per teyz karo, maine usko teyz kiya, phir AAP ﷺ ne churi li, mendhe ko pakda, usko litaya aur zubah karne lage, phir farmaya ALLAH k naam se, AYE ALLAH, MUHAMMAD (ﷺ), AAL E MUHAMMAD AUR UMMAT E MUHAMMAD ki taraf se isey qubool farma, phir uski qurbani ki.
📔 (Muslim, Baab Istehbaab Ul Zahyah wa Zabiha Mubashirah)

2⃣ HAZRAT IBRAHIM BIN SAALEH رضي الله عنه farmate hain k maine apne waalid ko kehte suna k “hum hajj k iraade se nikle to ek shaks (yaani HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه) miley, farmane lage tumhari ek basti hai jiska naam “ABLAT” hai…???

🌺 Humne kaha haan, farmaya tum me se kaon mujhe is baat ki zamanat deta hai wo MASJID E ASH’AAR mein 2 ya 4 rakaatey ada karey aur kahe k is namaz ka sawaab ABU HURAERA k liye hai. Maine apne KHALEEL ABU ALQADIM (ﷺ) se suna hai k beshak MASJID E ASH’AAR se QAYAMAT k din ALLAH TA’ALA aese shaheedon ko uthayega k siwaye SHOHDA E BADAR k aur koi unka humsar na hoga.
📔 (Abu Dawood)



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

जिस की बीवी का इंतिक़ाल हो जाये वह अपनी बीवी का चेहरा देख सकता है या नहीं*05

ईसाले सवाब की फज़िलत

क्या हुजूर ﷺ के ज़माने में मय्यत का तीजा होता था* 03